Marne se pahle ya khuda zawwar kar Hussain (as) ka
(Salam)
Marne se pahle ya khuda zawwar kar Hussain (as) ka
Hum momino ki yeh dua zawwar kar Hussain (as) ka
Jate hain dekho karwa’n boodhe bhi hain aur kayi jawan
Panjatan (as) kay sadqe ya khuda kar puri sub ki ilteja
Aankho’n se dekhe’n karbala zawwar kar Hussain (as) ka
Hum to tere hub daar hain Zahra (sa) kay pursa daar hain
Matam karengay hum waha’n bibi kay matam dar hain
Hasnain (as) ka hai wasta zawwar kar Hussain (as) ka
SABIR najaf ko jayengay dil ki muraad payengay
Hasnain (as) ki mazar par aansu bahut bahayengay
Kar maaf meri har khata zawwar kar Hussain (as) ka
............Zeya Abbas Haideri............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment