Kaha yeh Zainab (sa) ne qabr e shah par, batao kya kya sunau’n bhaiyya

                          (Nauha)

Kaha yeh Zainab (sa) ne qabr e shah par, batao kya kya sunau’n bhaiyya
Main sath layi hu’n chand tohfe, jo tum kaho to dekhau’n bhaiyya

Tumhare seene peh sone wali, lahed main aaram kar rahi hai
Jo mera Abbas (as) us ko puche, kaha’n se bachchi ko lau’n bhaiyya

Dayar e kufa main hum jo pahunche, to daur baba ka yaad aaya
Bahen ne kya inqelab dekha, yeh tum ko kaise sunau’n bhaiyya

Jo mera wali mujhe bulaye, to mujh peh aayegi ik qayamat
Hain bazuo’n par nisha’n rasan kay, main samne kaise jau’n bhaiyya

Lahed peh amma’n ki jaungi main, tumhara kurta sipurd karne
Jo tum kaho to salam kar kay, main bazuo’n ko dekhau’n bhaiyya

Bawaqt e rukhsat mazar e sarwar, peh aik mahshar bapa tha AKHTAR
Bahen yeh kahti thi bin tumhare, watan ko kaise main jau’n bhaiyya

Poet: Janab AKHTAR Sahab

…………Zeya Abbas (Haideri)…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
                       India

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida