Salam Hazrat Ali Akbar (as) || Jawa’n bete kay lashe par yeh laila sonchti hogi


                     (Nauha)
Jawa’n bete kay lashe par yeh laila sonchti hogi
Mujhe is din se pahle he na kyon maut aagayi hogi

Nikali hogi shah ne jab sina Akbar (as) kay seene se
Ali (as) ne badh kay peshani pisar ki choom li hogi

Kaha karti thi laila kaise baithungi main saye main
Mere Akbar (as) ki mayyat jalti raiti par padi hogi

Tadap jati thi aksar sonch kar yeh Fatima Sughra (sa)
Mere bhaiyya Ali Akbar (as) ki shadi ho gayi hogi

Khuda jane dil e sarwar ka aalam kya hua hoga
Ali Akbar (as) ne jis dam aakhri angdayi lee hogi

Ali Akbar (as) ka lasha aap le jate to hain lekin
Dar e khaima peh maula gham zada laila khadi hogi

Sukoon e qalb e laila rahat e jaa’n thay yeh Zainab (sa) kay
SAEED Akbar (as) ko marne ki riza kaise mili hogi

Poet: Janab SAEED Sahab

…………Zeya Abbas (Haideri)…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
                       India     

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida