Nauha BiBi Sakina (sa) | Sun lo apni beti kay aakhri bayan baba


Sun lo apni beti kay aakhri baya’n baba
Band hone wali hai ab meri zaba’n baba

Qaid kay andhero’n main ghut raha hai dam mera
Ab sahee nahi jati mujh se sakhtiya’n baba

Jab mera jawan bhaiyya aidiyan ragadta tha
Chubh rahi thin mere bhi dil main barchiya’n baba

Jism kanp uthta hai rooh thar tharati hai
Shimr hum ko deta hai aisi ghurkiya’n baba

Jab gale lagaya tha tum ne hum ko maqtal main
Aaj tak rulata hai haye woh sama’n baba

Kaan ho gaye zakhmi gaal ho gaye neele
Zalimo’n ne youn cheeni meri baliya’n baba

Yeh khabar nahi mujh ko kab jala mera daman
Door tak tha aankhon kay samne dhuwa’n baba

Yeh NAZEER apna hai usko bakhshwa dena
Usne ro kay likhkhi hai meri dasta’n baba

............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida