Abbas (as) Kahan Ho
(Salam)
Kehtay Thay Shah-e-Deen Mere, Abbas Kahan Ho
Abbas Kahan Ho, Abbas Kahan Ho
Abbas Kahan Ho, Abbas Kahan Ho
Tanha Hoon Khada Dasht-e-Bala Main Baradar
Dekho Zara Aakar (x2)
Pala Tha Jinhay Nazon Say, Sotay Hain Kahan Wo
Abbas Kahan Ho (x2)
Dekho Zara Aakar (x2)
Pala Tha Jinhay Nazon Say, Sotay Hain Kahan Wo
Abbas Kahan Ho (x2)
Dikhta Nahi Ab Ankhon Say, Har Su Hai Andhera
Dam Rukta Hai Mera (x2)
Deta Hai Sadain Ali Akbar Mera Mujhko
Abbas Kahan Ho (x2)
Dam Rukta Hai Mera (x2)
Deta Hai Sadain Ali Akbar Mera Mujhko
Abbas Kahan Ho (x2)
Seenay Main Jawan Laal Kay, Barchi Ki Aani Hay
Tharrati Zameen Hai (x2)
Uljha Hua Barchi Main Na Akbar Ka Jigar Ho
Abbas Kahan Ho (x2)
Tharrati Zameen Hai (x2)
Uljha Hua Barchi Main Na Akbar Ka Jigar Ho
Abbas Kahan Ho (x2)
Seenay Say Sina Khainch Kay, Akbar Kay Sarhanay
Is Dasht-e-Bala Main (x2)
TakTa Hoon Basad Yaad Say Dum Todtay Usko
Abbas Kahan Ho (x2)
Is Dasht-e-Bala Main (x2)
TakTa Hoon Basad Yaad Say Dum Todtay Usko
Abbas Kahan Ho (x2)
Haathon Pay Ugalta Hai, Lahoo Asghar-e-Baysheer
Gardan Pay Laga Teer (x2)
Kiya Keh Kay Tassalli Doon main Dar Pay Khadi Maa Ko
Abbas Kahan Ho (x2)
Gardan Pay Laga Teer (x2)
Kiya Keh Kay Tassalli Doon main Dar Pay Khadi Maa Ko
Abbas Kahan Ho (x2)
Nanni Si Lehad Main Ali Asghar Ko Lita Kar
Mitti Pay Sula Kar (x2)
UthTa Hoon Kabhi GirTa Hoon Thamay Hue Dil Ko
Abbas Kahan Ho (x2)
Mitti Pay Sula Kar (x2)
UthTa Hoon Kabhi GirTa Hoon Thamay Hue Dil Ko
Abbas Kahan Ho (x2)
Jaata Hoon Rah-e-Haq Main Gala Apna Katanay
Khaliq Ki Raza Main (x2)
Ab Shimr Ka Khanjar Meri Gardan Pay Rawan Ho
Abbas Kahan Ho (x2)
Khaliq Ki Raza Main (x2)
Ab Shimr Ka Khanjar Meri Gardan Pay Rawan Ho
Abbas Kahan Ho (x2)
Chalti Rahi Gardan Pay Churi Dekh Rahi Thi
Zainab Nay Sada Di (x2)
Sookha Hai Gala Bhai Ka Pani To Pilado
Abbas Kahan Ho (x2)
Zainab Nay Sada Di (x2)
Sookha Hai Gala Bhai Ka Pani To Pilado
Abbas Kahan Ho (x2)
Chalti Thi Siya Aandhiyan Khoon Bikhra Tha Har Soo
Jab Khol Kay Gay soo (x2)
Ik Laashe Buridah Pay Ye Maa Kehti Thi Ro Ro
Abbas Kahan Ho, Mere Abbas Kahan Ho, Abbas Kahan Ho
Jab Khol Kay Gay soo (x2)
Ik Laashe Buridah Pay Ye Maa Kehti Thi Ro Ro
Abbas Kahan Ho, Mere Abbas Kahan Ho, Abbas Kahan Ho
..............Zeya Haideri..............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment