Salam BiBi Fatima Zahra (sa) bhala kis jurm main Zahra (sa) ko kalma go rulate hain

Salam BiBi Fatima Zahra (sa) 

Bhala kis jurm main Zahra (sa) ko kalma go rulate hain
Nabi zadi ka baad e Mustafa kyon dil dukhate hain

Jigar ka tukda jis ko Ahmad e mukhtar kahte thay
Jahan aa kar salami khuld se jibreel dete thay 
Sitam kaisa hai ya rab woh musalman dar jalate hain

Bhare darbar main haq apna lene aai hain Zahra (sa) 
Qayamat ho gai darbar main manzar ajab dekha
Khadi roti rahin Zahra (sa) sitamgar muskurat e hain

Pidar ki yaad main royen rahen ashkon se aankhen num
Shikasta ho gaya pahlu liye Mohsin ka dil peh gham 
Na jee payengi ab Zahra (sa) masayeb yeh batate hain

Payamber khab main aakar kahen Zahra (sa) se aye beti 
Mujhe maloom hai ummat tujhe jeene nahi deti
Meri bachchi na ghabra hum tujhe lene ko aate hain

Ik aisa waqt bhi aaya qayamat ho gai barpa
Zamane kay sitam sah kar jahan se chal basin Zahra (sa) 
Gham e Zahra (sa) main sardar e jina aansu bahate hain

Ajab thay bain yeh ro kar Hussain (as) ibn e Ali (as) bole 
Na aaunga main Amma’n jab talak awaaz tu na de
Ali (as) kay dil peh yeh manzar churi jaise chalate hain

Kare matam na kyon kar Fatima Zahra (sa) ki ghurbat par
Sambhale kis tarah se dil ko apne Zainab (sa) ne muztar 
Janaza Fatima (sa) ka Murtaza (as) shab main uthate hain

Kabhi woh gham ne dekhen yeh dua (KAMI) kare har 
dam 
Manata ho ZEYA jo dil se aale Mustafa ka gham
Rahen aabad jo farsh e aza ghar main bichate hain

..............Zeya (Haideri)..............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida