Salam BiBi Fatima Zahra (sa) Baad e Rasool Kaisa ummat ne zulm dhaya
(Salam)
Baad e Rasool (s.a.w.w) kaisa ummat ne zulm dhaya
Jalta hua jo dar tha Haye Zahra (sa) peh hai giraya
Aye kalma padhne walo woh ghar hai Fatima (sa) ka
Ahsan mano jisne haye islam ko bachaya
Beti hai Mustafa ki kuch to lehaz karte
Kyon Fatima (sa) ko tum ne haye darbar main bulaya
Ro ro kay mangti thi haq Mustafa ki beti
Ghasib shaqi tha kaisa haye jis ko rahem na aaya
Beti na apni maa'n ko pahchan pai logo
Mazlooma Sayyada par haye aisa bhi waqt aaya
Bait e Hunz main royen kyon kar na ja kay Zahra (sa)
Ummat kay hathon jis ne haye kya kya na gham uthaya
Kaisa sitam tha Zahra (sa) duniya se chal basin jab
Aale Nabi kay ghar main haye kohram tha khudaya
Bole Hussain (as) ro kar aaunga na main Amma'n
Awaaz de kay mujh ko haye tumne na gar bulaya
Ghurbat ki inteha hai taboot Fatima (sa) ka
Maula ne mere shab main haye kis tarah se uthaya
Kohram mach gaya hai majlis main Fatima (sa) ki
KAMI ZEYA ne tera haye nauha yeh jab sunaya
Poet:Kamran Ali (Kami)
..............Zeya (Haideri)..............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
From Blogger iPhone client
Comments
Post a Comment