Baap ka martaba ( Mohtaram hota hai kuch itna sahara baap ka )
Mohtaram hota hai kuch itna sahara baap ka
Misl e rahmat hai bashar kay haq main saya baap ka
Misl e rahmat hai bashar kay haq main saya baap ka
Maa ki azmat to siwa hai jante hain sub magar
Haq ada kar he nahi sakta hai beta baap ka
Haq ada kar he nahi sakta hai beta baap ka
Baap se kis darja bete ka bichadna hai sitam
Puchiye Sajjad (as) se maqtal main jana baap ka
Samne kursi nashee’n zalim kay roti rah gai
Dekh kar tasht e tila main sar Sakina (sa) baap ka
Dekh kar tasht e tila main sar Sakina (sa) baap ka
Phir se Zainab (sa) kay liye har gham hara ho jayega
Puchne ko haal jab aayegi Sughra (sa) baap ka
Puchne ko haal jab aayegi Sughra (sa) baap ka
aye madawaye gham e duniya gham e karbobala
warna MAYEL kaun sah sakta hai sadma baap ka
..............Zeya (Haideri)..............
Youtube Search On Zeya Jalalpuri
Comments
Post a Comment