Ja rahe hain watan aye Sakina (sa) chalo

ja rahe hain  watan aye Sakina (sa) chalo 
bint e shah e zaman aye Sakina (sa) chalo

phoot ti he rahi aas beti teri 
bujh na pai kabhi pyas beti teri 
meri tashna dahan (2)
aye Sakina (sa) chalo

beti aayega ab na satane koi 
ab na barsaye ga taziyane koi 
meri majrooh o tan |(2)
aye Sakina (sa) chalo

aa ja aye ladli need se hosh main 
le sakungi tujhe ab main aagosh main 
khul gai hai rasan (2)
aye Sakina (sa) chalo

jab woh puche gi to kya batayegi maa 
ghar ki dahleez par muntazir meri jaan 
hogi Sughra (sa) bahen (2) 
aye Sakina (sa) chalo

dil ko chain aaya hai kab tumhare bagair 
kaise jaun watan ab tumhare bagair 
meri jaan e chaman (2)
aye Sakina (sa) chalo

..............Zeya (Haideri).............

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida