Is qaum kay rone ko yahi baat badi hai
(Salam)
Is qaum kay rone ko yahi baat badi hai
Zahra (sa) bhare darbar main haq maang rahi hai
Kahte thay payamber woh jise bizato minni
Dar jis ka jalaya gaya Zahra (sa) yeh wahi hai
Hansta tha sanad phad kay darbar main zalim
Thi jab ki khabar kis ne yeh tahreer likhi hai
Haq se kiya mahroom sitam dekhiye us par
Zahra (sa) bhare darbar main jhutlai gai hai
Darwada jalaya hui Mohsin (as) ki shahadat
Sar peeto sabhi aaj qayamat ki ghadi hai
Zahra (sa) ki shahadat ki hai shab isliye logo
Is gham kay sabab nauha kuna rooh e Nabi hai
Rota hai falak roye zamee'n Zahra (sa) kay gham main
Har simt fiza sog main dekho to jabhi hai
KAMI tera nauha jo ZEYA ne yeh padha hai
Nauhe ki teri shayri purdard badi hai
..............Zeya (Haideri)..............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment