Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Ghame Batool (sa) manana bahut zaruri hai

Gham e Batool (sa) manana bahut zaruri hai 
Yeh baat sub ko batana bahut zaruri hai

Janab e Zahra (sa) ki rukhsat hai isliye logo
Aza ka farsh bichana bahut zaruri hai

Woh log kaun thay Zahra (sa) kay qatl main shamil
Har ik ka naam batana bahut zaruri hai

Aza ka farsh bicha hai Hussain (as) ki maa'n ka
Tumhara purse ko aana bahut zaruri hai

Tum apni betiyon ko Fatima (sa) ki seerat ka
Woh dars roz padhana bahut zaruri hai

Tabrrah dushman e Zahra (sa) peh kijiye ga sabhi
Amal yeh bhool na jana bahut zaruri hai

Bahisht kay liye waiz tujhe namaz kay sath
Ali (as) ko dil main basana bahut zaruri hai

Ghame Batool main KAMI ZEYA yeh yaad rahe
Ki nauha sunna sunana bahut zaruri hai 

..............Zeya (Haideri)..............
YouTueb Search On Zeya Jalalpuri

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida