Manqabat Bibi Fatima Zahra (sa) ( 11 Masoomon Ki Maa'n Hain Fatima (sa) )
(Manqabat)
Jurato'n ka aasma'n hain Fatima (sa)
Zainab e (sa) kubra ki maa’n hain Fatima (sa)
Wajh e takhleeq e jahan hain Fatima (sa)
11 masoomo'n ki maa’n hain Fatima (sa)
Jis main hai masoom taro'n ki Zeya
Noor ki woh kahkasha'n hain Fatima (sa)
Dekhne wali nigahe'n chahiye
Har zamee'n ka aasma'n hain Fatima (sa)
Kyon na tafseer e salami den inhen
Aayato'n ki hum zaba'n hain Fatima (sa)
Khush na hona cheen kar baagh e fidak
Malkaye baagh e jena'n hain Fatima (sa)
Ruk nahi sakti azadari kabhi
Majliso'n ki pasba’n hain Fatima (sa)
Dhoondhte kya ho jamal wali kay pass
Haq wahan par hai jaha'n hain Fatima (sa)
Hashr main pucha gaya jab koi hai
Kah diya main ne ki han hain Fatima (sa)
Tum bata do usko majlis ka pata
Gar koi puche kahan hain Fatima (sa)
Hum Ali (as) walon ko is peh naaz hai
Nazishe kauno maka'n hain Fatima (sa)
Sher kuch ho he gaye tujh se SALEEM
Iska matlab meharba'n hain Fatima (sa)
Poet: Janab Saleem Balrampuri
..............Zeya (Haideri)..............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment