Noha Imam Ali (as) | Shab chaak gareban saher girya kuna hai |
Noha
Shab chaak gareban saher girya kuna hai
Makhlooq e khuda maile faryaad o fugha’n hai
Ma bain zamee'n aasma'n mashahar ka sama'n hai
19wi ramdan ka yeh haal bayan hai
Tareekh yeh woh hai jo qayamat se nahi kam
Aye momino sar peeto karo girya o matam
Farigh jo tahajjud se huway fatahe khaibar
Aur sahen main aaye junhi hujre se nikal kar
Bas qazd kiya he tha abhi jane ka bahar
Hota ki ada fajr ka woh farz e muqarrar
Murgabiyon ne ghair liya haq kay wali ko
Darwaze se jane nahi deti thin Ali (as) ko
Goya huwya murghabiyon se Haider e (as) karrar
Is uns ki de tum ko jaza khaliq e ghaffar
Nale na karo sabr karo aye meri gham khar
Jo waqt moayyan hai woh talta nahi zin haal
Daman ko mere chod do youn ashk na barsao
Masjid main mujhe jane do darwaze se hat jao
Pahunche jo hin masjid main Ali (as) dekha yeh manzar
Undha pada sota hai laeen aik zameen par
Jab uske qareeb pahunche to goya huway Haider (as)
Uth pairaway ibrees shaqi aur sitam gar
Maloom hai sub kis liye tu aaya hai kufa
Kis kaam kay karne ka yahan par hai irada
Yeh kah kay azaa'n dene lage khalq kay maula
Mahraab e ibadat main huway zaib e musalla
Masroof huway taak main apne shah e wala
Thi fajr ki pahli he rakaat pahla woh sajda
Talwar raqab se bin e muljim ne lagai
Do para kiya sar ko jabeen tak utar aai
Sar peet kay kahte thay namazi ki aye jallad
Kya kar diya yeh khane e haq main sitam eajaad
Ki haq kay wali par yeh bhala kis liye be daad
Faryad hai faryad hai faryad hai faryad
Is shor o foghan ko suna hasnain (as) ne jis dam
Masjid ko chale ghar se woh karte huway matam
Hasnain (as) ne aalooda ba khoo'n baap ko paya
Woh bain kiye jis se ki munh ko jigar aaya
Phir aik chatai peh gharaz un ko letaya
Gham kharon ne zakhmi shah e safdar ko uthaya
Ghar laye mubada kahin halat na bidag jaye
Sar khole huway Saniye Zahra (sa) na nikal aaye
Dakhil huway jab ghar main pisar baap ko le kar
Wa'n nalao shewan se ba pa ho gaya mahshar
Thame huwya thi beti koi paon koi sar
Aahista se hujre main letaya unhe ja kar
Tha wird zaba'n wa Ali ya aaho boka main
Awaaz yahi goojti thi arz o sama’n main
Shabe chaak gareban saher girya kuna hai
............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment