Sajjad (as) Main Zainab (sa) Hun
Noha
Sajjad (as) main Zainab (sa) hun mere sar peh rida koi nahi bazaar e jafa
Sajjad (as) main Zainab (sa) hun mere sar peh rida koi nahi bazaar e jafa
Majma hai laeeno ka mere chalne ki jaa koi nahi bazaar e jafa
Sajjad (as) mere sar se cheeni gai jab chadar
Baluway main nabi zadi phirwai gai dar dar
Mil jaye mujhe chadar aur meri dua koi nahi bazaar e jafa
Sajjad (as) main Zainab (sa) hun
Sajjad (as) chalun kaise lakhon hain tamashai
Yaad aata hai rah rah kay Abbas (as) mera bhai
Fariyad karun kisse ab tere siwa koi nahi bazaar e jafa
Sajjad (as) main Zainab (sa) hun
Sajjad (as) mere dil ko yeh dard satata hai
Sar Ghazi (as) kay naize se jab khak peh aata hai
Sar mera khule dekhe gham isse bada koi nahi bazaar e jafa
Sajjad (as) main Zainab (sa) hun
Sajjad (as) teri halat dekhi nahi jati hai
Be parda mujhe dekhe yeh baat rulati hai
Sajjad (as) teri tarah kanton peh chala koi nahi bazaar e jafa
Sajjad (as) main Zainab (sa) hun
Maut aayegi zindan main meri bali Sakina (sa) ko
Kya ja kay bataungi beemar madina ko
Gham dil peh uthane ko ab baqi bacha koi nahi bazaar e jafa
Sajjad (as) main Zainab (sa) hun
Bazaar e sitam main tha Zainab (sa) ka ajab aalam
MAZHAR main likhun kaise zalim ne kaha jis dam
Hai kaun tera waris Zainab (sa) ne kaha koi nahi bazaar e jafa
Sajjad (as) main Zainab (sa) hun
............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment