Salam Maula Abbas (as) Mere Hath Nahi Hai

                               Salam
Jab hath qalam ho chuke Abbas e (as) jari kay 
Nauha Hussain (as) karte huway yeh dasht main pahunche 
sanse abhi rawan thi Alamdar yeh bole 
mahrooom e ziyarat ka salam e akheer hai
ik aankh main lahu hai laga ik main teer hai
aaqa mere maula aaqa mere maula 
main kaise uthun aaqa mere hath nahi hai
paon nahi chu sakta mere hath nahi hai 

aaqa yeh ghulami ka sila kaisa diya hai
kis pyar se sar aap ne zanu peh rakha hai 
uth kar salam karta mere hath nahi hai

jo hath tere kaam na aaye mere maula 
bachpan main he cut jate to hota bahut acha 
tum inko nahi choona mere hath nahi hai

dil rota hai marte huway kya be adbi hai 
jin hath kay cutne se kamar shah ki jhuki hai 
seedhi nahi kar sakta mere hath nahi hai 

bhari hai alam tum na uthao ise  maula 
tooti hai kamar dekhiye tanha na uthega 
aaqa hun main sharminda mere hath nahi hai 

godi main Sakina(sa) ko uthauga main kaise 
kis tarah nibhaunga ghulami kay tareeq e 
yeh kam to nahi sadma mere hath nahi hai 

main zamin e chadar tha muhafiz tha haram tha 
ab zinda bhi rah jaun to kya fayda aaqa 
Zainab (sa) ko bata dena mere hath nahi hai 

jab zeen se zameen ki taraf aane laga maula 
na koi madadgaar tha na koi sahara 
us waqt kheyal aaya mere hath nahi hai 

yeh nauha e ghazi sar e majlis jo RAZA hai 
REHAN e raza kahta hai yeh mojza kahta hai
yeh hath hai ghazi ka mere hath nahi hai

............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida