Boli Zainab (sa) apni khahar yeh umme kulsoom (sa) se
Noha
Boli Zainab (sa) apni khahar yeh umme kulsoom (sa) se Karbobala jab hua Ahle haram ka guzar Kohe musibat gira bibiyon peh toot kar Zainab e (sa) nashad ne peet liya apna sar Ro ro yeh kahne lagi maanjaye ki qabr par Aye bhiayya........... kis tarah ahle madina ko main munh dikhlaungi Sham kay zindan se main aai hun Choot kay.............. Kis tarah sote ho tum chod kay apna watan Kis tarah bhai tumhen bha gaya sunsaan ban Ghar chalo lene ko ab aai hai dukhiya bahen Sunti hun haye haye ghazab paya na tum ne kafan Maanjaye............lash thi uryaan teri jalti hui rait par Dekhne aur tum se milne aai hun Choot kay............... Rauza payamber ka jab door se aaya nazar Hazrat e kulsoom (sa) ne peet liya apna sar Ro ro madina se yeh kahne lagi nauha gar Aai hun tera sharaf karbobala chood kar Such kahun........aye mere jadd kay madina hum tere qabil nahi Tujh main to aate huway sharmati hun Choot kay........... Shah e do aalam nahi sham ka lashkar nahi Sar par mere ab koi muniso yawar nahi Qasim e (as) muztar nahi aur Ali Akbar (as) nahi Zulm ki hadd ho gai goad main Asghar (as) nahi Be khata........ hurmula ne teer se bejan kiya besheer ko Bezaban ka khali jhoola layi hun Choot kay....... Ab nahi SADIQ koi zabt ka yara raha Qabr e payamber par lo aagaya yeh qafela Nana se kahne lagi khahar e shah e huda Aap ki ummat ne yeh haal hamara kiya Aye nana ....... sara kunba karbala main aap ka loota gaya Dar badar ki thokar kha kar aai hun Choot kay.......
............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri

Comments
Post a Comment