Salam Imam Hasan (as) Paikan baras rahe hain taboot par Hasan (as) kay

Salam
Paikan baras rahe hain taboot par Hasan (as) kay Ummat mita rahi hai aasar Panjatan (as) kay Zainab (sa) pukari bhai dil doobta hai mera Uglo na dil kay tukde sadqe gai dahen kay Zainab (sa) hain baal khole ummat hain teer tole Pucho na sham ki jab yeh haal hain watan kay Baba kay dil kay tukde tu ne gine 72 Tukde hazar hongay Qasim (as) tere badan kay Taboot se lipat kar Qasim (as) pukare baba Nauhe akhi kay dekho dukhde suno bahen kay Yasrab main karbala main baghdad samra main Afsos phool bikhre Zahra (sa) tere chaman kay

............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida