Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as)

Noha
Awaaz hai yeh dasht main roohe Batool (sa) ki Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Kal uske sookhe halq peh chal jayegi churi Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Aye kash hoti zinda jahan main yeh gham zada Kar deti apne aap ko is laal par fida Afsos mil na pai mujhe itni zindagi Mehman aik shab ka hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Beti lahed ko chod kay aai hun isliye Ik raat aur jeete huway dekh lun ise Us bewatan ki baqi hai thodi si zindagi Mehman aik shab ka hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Karbobala ki banna hai kal tujh ko Fatima (sa) Sookhe huway gale ko hai phir uske choomna Yeh zimmedari saunpti hai tujh ko maa teri Mehman aik shab ka hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Nanhi si lash khode ga woh zulfeqaar se Farigh jo hoga nanhi si mayyat ko gaad kay Karne salam aayega khaime main aakhri Mehman aik shab ka hai Zainab (sa) mera Hussain (as) Ik shab ka mehman hai Zainab (sa) mera Hussain (as)

............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida