Aye chand karbala kay, tu ne to dekhe hongay
Salam
Aye chand karbala kay, tu ne to dekhe hongay
Aye chand karbala kay, tu ne to dekhe hongay
Utray thay is zameen par, arshay bari’n kay taare
Aye chand jalwagar hai hashim ka chand yan par
khairaat raoshani ki le lijiyo yahan se
Aye chand...........................................
Aye chand is zameen par rakhiyo hamesha thandak
Sotay jo hain yahan par Zehra (sa) ke hain yeh pyare
Aye chand.......................................................
Tasleem-o-salsabeelo kausar ke hain ye maalik
Maare gaye jo pyase is nehr ke kanare
Aye chand.............................................
Hur aur habeeb jaise jaanbaaz aur ahibba
Maare gaye yaheen par ansaar shahe deen ke
Aye chand...........................................................
Maare gaye yaheen par be-dardiyo sitam se
Muslim (as) ke dono pyare Zainab (sa) ke dono bete
Aye chand..........................................................
Pamaal ho rahi thi Qasim (as) ki laash ran may
Abbas (as)aur sarwar chunte thay unke tukday
Aye chand.........................................................
Baazu katay yaheen par Abbas-e- (as) bawafa ke
Izn e wegha na paaya pani bhi laa na paaye
Aye chand......................................................
Is sar zameen pa guzra sarwar peh ye bhi sadma
Seene peh khaayi barchi hamshakle Mustufa ne
Aye chand...........................................................
Pani pilaane laaye ek mahlaqa ko sarwar
Kiya zibh hurmula ne teere sitam lagaake
Aye chand...................................................
Gardan chidi pisar ki baazu chida pidar ka
Dono tadap tadap kar pyase jahan se guzre
Aye chand......................................................
Is ban may ek bachchi baba ko dhoondti thi
Bikhre huwe paday thay jab sar bureeda laashar
Aye chand...........................................................
Phir yeh bhi tu ne dekha woh gham raseeda bachchi
Seene pa so rahi thi besar pidar se lipti
Aye chand.............................................
Baazu bandhay yaheen per pehle pahal haram ke
Is sar zameen se niklay Sajjad (as) sar jhukaye
Aye chand...........................................................
Shehzadaye jina hi maalik hai karbala ka
Kis ki majaal aaye jab tak na wo bulaaye
Aye chand.................................................
Pahunche hain karbala main jo log SIBT E JAFAR
Aye kaash phir muqaddar unko yeh din dikhaye
Aye chand...........................................................
............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
Comments
Post a Comment