Aaj rukhsat ho rahi hai tum se Zahra (sa) ya Ali (as)

Salam
Aaj rukhsat ho rahi hai tum se Zahra (sa) ya Ali (as) Kya kahun dil main khayal aate hain kya kya ya Ali (as) Han madine walon ko tha mera rona na gawar Aaj se hoga na in logon ko shikwa ya Ali (as) Dushmano ko tum ne aane dena meri lash par Pardaye shab main meri mayyat uthana ya Ali (as) Baad mere jane kya ho haal bachchon ka mere In ko eaza ho to hogi mujh ko eaza ya Ali (as) Faqe kar kay aafaton se main ne pala hai inhen Tum khayal inka meri khatir se rakhna ya Ali (as) Jante hain aap yeh nazon ka pala hai Hussain (as) Woh agar roye dilasa usko dena ya Ali (as) Tum ko zahmat ho gi lekin meri taskee’n kay liye Meri turbat par mere bachchon ko lana ya Ali (as) Rah gaye apna kaleja tham kar maula SAEED Boli Zahra (sa) jab khuda hafiz tumhara ya Ali (as)

............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida