Salam Imam Ali (as) | Chal Gai Taigh Haider (as) Kay Sar Par |

                       Salam
Chal gai taigh Haideri (as) kay sar par 
Roza daro'n main matam bapa hai 

Aaj jate hain duniya se Haider (as) 
Roza daro'n main matam bapa hai

Aaj kufe main hai aah o zari 
Matami hai Ali (as) ki dulari 
Aaj rote hain Shabber (as) o Shabbar (as)
Roza daro'n main matam bapa hai

Betiya'n ro rahi hain Ali (as) ki 
Haye aai qayamat yeh kaisi 
Ab nahi baap ka saya sar par 
Roza daro'n main matam bapa hai

Yeh namaz o Aza'n ro rahe hain 
Gham main dono jahan ro rahe hain 
khoo'n main doobe hain mahrab o mimber 
Roza daro'n main matam bapa hai

Khoon bahta hai Haider (as) kay sar se 
Aaj uththe ga taboot ghar se 
Aaj badla hai kaisa muqaddar 
Roza daro'n main matam bapa hai

Hai ZAFAR yeh Ali (as) ka janaza 
Dil peh Zainab (sa) kay hai zakhm taza 
Kah rahe hain azadar ro kar 
Roza daro'n main matam bapa hai

Poet: Janab Zafar Sahab

............Zeya Abbas (Haideri)............
Youtube Search On Zeya Jalalpuri 
                  India 


Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida