Jati hai Zainab (sa) aaj watan main | Anjuman Jafaria Rajisterd Mustafabad Jalalpur |

Noha
Le kay 72 daag jigar par Jati hai Zainab (sa) aaj watan main Aai khezan barbad huway ghul Mil gaye ghunche khak chaman main Mujh ko nahi manzoor judai Haif bahen ko maut na aai Rahti tumhare sath aye bhaiyya Main bhi is tapte huway ban main Le kay…….........………………………… Ghash main pada beemar e hazeen tha Jism main itna khoon nahi tha Youn thi tan e Abid (as) peh safedi Jaise koi lipta ho kafan main Le kay………………......……………… Ta dam e aakhir munh nahi moda Jisne tumhara sath na choda Ab woh bahen jati hai madina Chod kay tum ko gair watan main Le kay……………………...........…......... Lash teri muhtaaj e kafan thi Haye sitam majboor bahen thi Kis tarah karti dafn ka saman Hath bandhe thay mere rasan main Le kay………………………................. Kya kahun bhaiyya qait ki sakhti Faqon se halat yahan tak pahunchi Baith kay main pardhti thi namazen Itni nahi taqat thi badan main Le kay………………………………….... Kaise kahungi qabr e Hasan (as) par Mar gaya Qasim (as) sa mahe anwar Choda nahi usko bhi khezan ne Aik he ghul tha baagh e Hasan (as) main Le kay………………………………....... Seene peh sone wali Sakina (sa) Mar gai tere gham main yateema Lash peh teri ta dame aakhir Roti rahi zindan e mehan main Le kay………………………………....... Khali hai MAZHAR fauj se sahra Aaj nahi hai nahr peh pahra Aye mere Asghar (as) aao pilaun Pani tum ko khushk dahen main Le kay…………………….......………….

Poet: Janab MAZHAR Mustafabad Nagpur Jalalpur A.N
Nauha By Anjuman Jafaria Redg.Mustafabad Jalalpur A.N

.............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida