Ali (as) Ki ladki ghabra rahi hai

(Salam & Nauha)
Ali (as) ki ladli ghabra rahi hai Shabe aashur dhalti ja rahi hai Zameen chup hain falak sahma hua hai Dil e Zainab (sa) paresha'n ho raha hai Ghata zulmo sitam ki cha rahi hai Shab e ........................................ Qaza ki zad peh Zahra (sa) ka chaman hai Hussaini qafela tashna dahen hai Lahu chashm e falak barsa rahi hai Shab e .......................................... Jidhar dekho nazar aata hai lashkar Ajab pur hole hai sahra ka manzar Yazeedi fauj simti aarahi hai Shab e.................................... Kabhi Aoun o Muhammad (as) ko bulaya Kabhi seene se Akbar (as) ko lagaya Kabhi Abbas (as) ko samjha rahi hai Shab e ...................................... Shah e wala ko khaime main bula kara Bahen kahne lagi aansu bahakar Hamen surat ajal dikhla rahi hai Shab e .......................................... Rasool e paak ki masnad bicha kar Ali Akbar (as) ko pahlu main bitha kar Sukoon e qalb Zainab (sa) pa rahi hai Shab e ...........................................
Kare kya shah ki humsheer aakhir
bachi hai kaun si tadbeer aakhir
kali gulshan ki ab kumla rahi hai
Shab e ....................................

Khamoshi dasht main chai hui hai Sakina (sa) aaj ghabrai hui hai Sadaye'n al atash ki aarahi hai Shab e .................................... Kabhi soti hai seen e par Sakina (sa) Kabhi roti hai ghut ghut kar Sakina (sa) Kabhi baba se kuch batla rahi hai Shab e ....................................... Kabhi gahwaray e Asghar (as) jhulakar Kabhi godi main bhai ko utha kar Sakina (sa) khud ko you'n bahla rahi hai Shab e .............................................

Qalam KHURSHEED ka likhta rahega
Gham e Shabbeer (as) ka dariya bahega
Gohar fikr e Raza barsa rahi hai
Shab e ....................................

Poet: Janab KHURSHEED Sahab

............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida