Chand Sughra (sa) ko muharram ka nazar aaya hai
Salam
Haye Sughra (sa) Haye Sughra (sa)
Haye Sughra (sa) Haye Sughra (sa)
Chand Sughra (sa) ko muharram ka nazar aaya hai
Yaad kunb e ka madine se safar aaya hai
Dekh kar chand ko Sughra (sa) yeh bayan karti thi
Mere baba ko to karbal ka safar bhaya hai
Ab na Qasim (as) hain na Akbar (as) mere ghar ki raunaq
Mere is ghar peh udasi ka faqat saya hai
Baba tanhai main Sughra (sa) ko kiya aur mareez
Teri beti ne teri dard e jigar paya hai
Bhaiyya furqat main teri mujh ko bhala chain kahan
Teri bahna ne judai ka zaher paya hai
Kaise Sughra (sa) ko batayega koi yeh SHOHRAT
Mere Akbar (as) ne shahadat ka gohar paya hai
............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
Comments
Post a Comment