Salam BiBi Sakina (sa) | Pukari ro kay Sakina (sa) bada andhera hai

Salam
Pukari ro kay Sakina (sa), bada andhera hai Yeh kaisi qaid hai baba, bada andhera hai Main aik kone main baithi hui hun sahmi hui Dekhai kuch nahi deta, bada andhera hai Tamanche lagte hain mere jo dar kay roti hun Magar main kya karun baba, bada andhera hai Agar ho aana to Asghar (as) ko sath mat lana Jahan main qaid hun baba, bada andhera hai

Bahen se milne ko aao kabhi Ali Akbar (as)
To ik cherag bhi lana, bada andhera hai Bahut tadapte thay Sajjad (as) yeh sada sun kar Bahen bulati hai bhaiyya, bada andhera hai

Koi cherag jalane na aa saka haye
Pukarti rahi dukhiya, bada andhera hai

............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida