Salam BiBi Sakina (sa) || Sakina (sa) boli phuphi se basad fughan kahna ||

Salam
Sakina (sa) boli phuphi se basad fughan kahna Mere chacha se mere gham ki dastan kahna Goluway khushk peh baba kay jab chala khanjar Main dekhti thi khadi suway aasman kahna Labon se pyas kay shole nikalte dekhe hain Jale khayam ka aankhon main hai dhuwan kahna Salam e aakhri ammu mera qabool karen Main ja rahi hun qafs se suway jina kahna Wazu main karti hun ashkon se yaad e Akbar (as) main Main qaid khane main sunti hun jab azan kahna Lahu tapakta tha kano se phat gai thi lawen Tamanche maar kay cheeni jo baliyan kahna

............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida