Salam Imam Ali Raza (as) | Aye ghareebul watan ya imam e Raza (as) |

Salam
Aye ghareebul watan ya imam e Raza (as) 
Waris e bekafan ya imam e Raza (as)

Hai sitam zahr ka dono sah kar gaye
Bin yaqeen ladle dono Zahra (sa) kay thay 
Ik imam e Hasan (as) ya imam e Raza (as) Shahe karbobala se yeh nisbat teri Un kay lashe peh bhi tere lashe peh bhi Ro na pai bahen ya imam e Raza (as) Tere baba ka taboot uth na saka Pul peh baghdad kay lasha rakha raha Tha kafan pairahan ya imam e Raza (as) Jo chubhan tere seene main thi zahr ki Ab bhi mahsoos karte hain woh matmi Apne dil main chubhan ya imam e Raza (as) Aye bin e sayyada aye bin e murtaza Mushkilon main hamen hai tera aasra Badshah e zaman ya imam e Raza (as) Haq kay ajdad ko tujh se cheena gaya Hai madine tera tujh se chudwa diya Aye aseer e mehan ya imam e Raza (as) Janyen salman o meesam khorasan main Tere rauz e peh ja kar yeh nauha padhen De do izn e sukhan ya imam e Raza (as)

............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search Zeya Jalalpuri

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida