Jab chut kay aaye run main aseeran e karbala

Noha
Jab chut kay aaye run main aseeran e karbala Bhai ki qabr tham kay Zainab (sa) ne yeh kaha Aankhe zameen dekhati hai dushman hai aasman Bhiayya jawab dijiye jaye bahen kahan Ahle jafa ne aag lagai khayam main Kar kay aseer le gaye darbar e sham main Zindan main hum peh toot pada gham ka aasman Bhaiyya jawab dijiye jaye bahen kahan Bhaiyya tumhen Sakina (sa) bahut yaad karti thi Sar peetti thi aur kabhi aah bharti thi Nanhi si jaan roti thi le le kay hichkiyan Bhaiyya jawab dijiye jaye bahen kahan Bandhi thi itna kas kay sitamgaar ne rasan Mushkil se sans leti thi khud se woh pur mehan Marne peh kholne se na khulti thi resman Bhaiyya jawab dijiye jaye bahen kahan Abid (as) bahen ki lash ko jab le kay jate thay Aalam yeh zoaf ka tha ki khud dagmagate thay Har gaam peh ulajhti thi paon ki bediyan Bhaiyya jawab dijiye jaye bahen kahan Sughra (sa) ko kis tarah yeh fasana sunaungi Beemar gham kay samne kis munh se jaungi Kyon kar kahungi lut gaya jangal main karawan Bhaiyya jawab dijiye jaye bahen kahan Choti si aik qabr jo run main banai thi Aada kay dast zulm se woh bhi na bach saki Baqi raha na turbat e Besheer (as) ka nishan Bhaiyya jawab dijiye jaye bahen kahan

..........Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida