Salam Imam Ali (as) | Kufa Ujad Gaya |


                  Salam
Haye wa museebata kufa ujad gaya
Zakhmi huway Ali (as) hai shor ja baja
Haye wa museebata kufa ujad gaya

Zahra (sa) kay ghar main kaisi qayamat guzar gai
Zainab (sa) ne jab suna to woh ghash kha kay gir gai
Baba kay gham se ho gaye be haal Mujtaba (as)
Haye wa museebata fufa ujad gaya

Roze main rozedaar ko mara namaz main
Jibreeal (as) dekh kar yeh pukara namaz main
Kabe ka kaba dha diya kaisa sitam kiya
Haye wa museebata fufa ujad gaya

Jarrah sar ko peet kay bola yeh bar mala
Sar se lahu Imam (as) kay rukta nahi bhala
Muljim peh beshumar ki jisne hai ki jafa
Haye wa museebata fufa ujad gaya

Kaise sabhale dekhiye Shabbeer (as) ko Hasan (as)
Kaise sabhale dekhiye humsheer ko Hasan (as)
Ya rab Ali (as) ka lal Hasan (as) kya kare bhala
Haye wa museebata fufa ujad gaya

Abbas e (as) ba wafa ko qarar aaye kis tarah
Haye lahed main roti hain is gham main Fatima (sa)
Baba Hasan (as) Hussain (as) ka duniya se chal basa  
Haye wa museebata fufa ujad gaya

Taboot mere maula ka aayega jis ghadi
Hon gay Hasan (as) Hussain (as) bhi taboot kay qaree’n
Sub mil kay pursa daro do pursa imam (as) ka
Haye wa museebata fufa ujad gaya

Dekho ki arsh farsh e aza hai yeh sogwaar
Momin kay dil ko kaise bhala aayega qarar
Balo’n ko khole aai hain majlis main Fatima (sa)
Haye wa museebata fufa ujad gaya

ISHRAT ko izan dijiye aaye ki yeh najaf
Ho khush naseebi sath main paye Zeya sharaf
Ki baar baar hum ko zeyarat ho yeh ata
Haye wa museebata fufa ujad gaya

Poet: Janab Syed Ishrat Hasan Bilgrami

............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri 
                    India 

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida