Nauha Bibi Fatima Zahra (sa) || Fatima (sa) ka bhare madine main, gham batane koi nahi aaya
(Nauha)
Ghar jalane to kalma go aaye, ghar bachane koi nahi aaya
Fatima (sa) ka bhare madine main, gham batane koi nahi aaya
Kya woh islam ka he marqaz tha,
kya madina tha woh Mohammad ka
Lag rahe thay jahan peh Zahra (sa) kay, taziyane koi nahi aaya
Rassiya’n thi Ali (as) ki gardan main,
log bazar se guzarte thay
Sub tamachayi ban kay takte rahe,
par chudane koi nahi aaya
Dar jala qatl ho gaye mohsin,
pasliya’n Sayyada (sa) ki toot gayi’n
Phir bhi kahte ho tum yeh Zahra (sa) par, zulm dhane koi nahi aaya
Khud he chunne lagi nabi zadi, bikhri tahreer apne baba ki
Mustafa ki sanad kay tukdo’n ko,
jab uthane koi nahi aaya
Har sitam Fatima (sa) peh dhaya gaya,
jalta darwaza bhi giraya gaya
Apne Mehdi (as) ko di sada usne,
jab bachane koi nahi aaya
Aath shawwal ko hui Akbar, phir shahadat nabi ki beti ki
Gir raha tha mazar bibi ka, par bachane koi nahi aaya
Poet: Janab Akbar Sahab
Reciter: Meesum Gopalpuri UP India
…………Zeya Abbas (Haideri)………..
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment