Salam Maula Hasan (as) || Azadaro karo matam bicha kay farsh shabbar (as) ka

                                                      (Salam)

Zaher ne kar diya tukqe jigar Zahra (sa) kay dilbar ka

Azadaro karo matam bicha kay farsh shabbar (as) ka

 

Ali (as) ka lal duniya se hua rukhsat zaher se jab

Bapa aalam hua Zahra (sa) kay ghar main aik mahshar ka

 

Feraaq e gham se roye is qadar rukte nahi aansu

Hasan (as) kay lashe par tha haal yeh sibte payamber ka

 

Janaze par Hasan (as) kay dekhiye teero’n ki hai barish

Janaza khoon main tar ho gaya dil band e Haider (as) ka

 

Dafan nana kay pahlu main nahi hone diya jab ki

Woh zalim jante thay yeh nawasa hai payamber ka

 

Janaza uth raha hai mujtaba (as) ka aaj duniya se

Jahan main kyon na ho matam bapa ummat kay rahbar ka

 

Diya raushan hua jo ilm o hikmat ka zamane main

Bujhaya zulm se har woh diya Zahra (sa) tere ghar ka

 

Dua maqbool ho jaye Hasan (as) kay waste bibi

Likhe har saal Kami nauha ik purdard Shabbar (as) ka

 

Poet: Kamran Kami (Pakistan)

 

…………Zeya Abbas (Haideri)…………

YouTube Search On Zeya Jalalpuri

                       India

 

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida