Salam Bibi Fatima Zahra (sa) || Kadi Hai Dhoop Qabr e Sayyada (sa) Hai
(Salam)
Kadi hai dhoop qabr e Sayyada (sa) hai
Sitam ki inteha mere khuda hai
Tadap kay rooh e Ahmed kah rahi hogi
Sila kya khoob mujh ko yeh diya hai
Sanad kay kar diye zalim ne tukde
Nabi zadi peh kaisi yeh jafa hai
Khadi darbar main kab se hui hai
Musalmano yeh binte Mustafa hai
Sitam ki had to dekho aag le kar
Shaqi woh dar peh Zahra (sa) kay khada hai
Jala dala nabi zadi kay ghar ko
Fiza main haye baba ki sada hai
Na jee payi’n pidar kay baad bibi
Sitam kaisa laeeno'n ne kiya hai
Sabhi rote hain pursa daar Kami
Ki nauha tu ne yeh aisa likha hai
Poet:Kamran Kami (Pakistan)
………..Zeya Abbas (Haideri)…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
From Blogger iPhone client
Comments
Post a Comment