Pahunche qareeb e shahr e madina to ro diye
(Salam)
Pahunche qareeb e shahr e madina to ro
diye
Abid (as) ka dil ghamo’n se bhar aaya
to ro diye
Pao’n main aable thay chale aur thaher gaye
Rauza Rasool ka nazar aaya to ro diye
Baithe zamee’n peh sar ko jhukaye huway
Imam (as)
Saya kiya kisi ne rida ka to ro diye
Abbas (as) ki wafa ka shujaat ka zikr
tha
Bete na aa kay baap ko pucha to ro diye
Ummul banee’n ko bete ka pursa diya
magar
Sughra (sa) ko de sake na dilasa to ro
diye
Farmate thay shaheed huway aqroba tamam
Besheer (as) ko kisi ne jo pucha to ro
diye
Rudaad karbala ki sunaya kiye Imam (as)
Jab zikr e shaher e sham ka aaya to ro
diye
…………Zeya Abbas (Haideri)…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment