Kaha yeh Zainab (sa) ne qabr e shah par, batao kya kya sunau’n bhaiyya

 

                              (Nauha)

Kaha yeh Zainab (sa) ne qabr e shah par, batao kya kya sunau’n bhaiyya

Main sath layi hun chand tohfe, jo tum kaho to dekhau’n bhaiyya

 

Tumhare seene peh sone wali, lahed main aaram kar rahi hai

Jo mera Abbas (as) usko puche, kahan se bachchi ko lau’n bhaiyya

 

Dayar e kufa main hum jo pahunche, to daur baba ka yaad aaya

Bahen ne kya inqelab dekha, yeh tum ko kaise sunau’n bhaiyya

 

Jo mera wali mujhe bulaye, to mujh peh aayegi ik qayamat

Hain bazuo’n par nisha’n rasan kay, main samne kaise jau’n bhaiyya

 

Lahed peh amma’n ki jaungi main, tumhara kurta sipurd karne

Jo tum kaho to salam kar kay, main bazuo’n ko dekhau'n bhaiyya

 

Ba waqt e rukhsat mazar e sarwar, peh aik mahshar bapa tha Akhtar

Bahen yeh kahti thi bin tumhare, watan ko kaise main jau’n bhaiyya

 

Poet: Janab Akhtar Sahab 

 

…………Zeya Abbas (Haideri)…………

YouTube Search On Zeya Jalalpuri

                          India  

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida