Salam Imam Raza (as) || Bekas Imam Mera Duniya se Chal Basa Hai

 

                       (Salam)

Bekas Imam (as) mera duniya se chal basa hai

Aale nabi peh kaisa toota sitam khudaya


Kis ko zaher diya hai mamoon tujh peh lanat

Kis par sitam kiya hai mamoon tujh peh lanat

Aayi sada yeh haq se ummat ka peshwa hai


Kaise na sar ko peete’n kyon kar Karen na matam

Maula Raza (as) kay gham main hai sogwar aalam

Ahle aza kay gham se mahshar bapa hua hai


Farshe aza peh baithi’n mahwe buka’n hain Zahra (sa)

Maula Imam e Mehdi (as) ghaibat main roye mera

Misl e sutoon e kaba ummat ne dha diya hai


Arshe baree’n peh matam farshe zamee’n peh matam

Sar peeto momino sub ghurbat ka hai yeh aalam

Zaher e jafa se tukde tukde jigar hua hai


Sultan e shah e mashhad arb o ajam kay maula

Farzand e moosa kazim be wariso’n kay maula

Matam karo Raza (as) ka taboot uth raha hai

 

Poet: Kamran Kami (Pakistan)

 

…………Zeya Abbas (Haideri)…………

YouTube Search On Zeya Jalalpuri

                         India

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida