Chehlum Salam || Zainab (sa) suna rahi hain yeh nauha forat par

 

                          (Salam)

Zainab (sa) suna rahi hain yeh nauha forat par

Chehlum manane aayi hun bhaiyya forat par


Jee bhar kay tujh peh roti woh phuphiyo’n kay sath sath

Hoti jo mere sath Sakina (sa) forat par


Yeh kah kay woh tadapti thi zindan e sham main

Haye ujad gayi meri duniya forat par


Main apne bazuo’n pah nishan e rasan kay sath

Layi hun aik dard ka dariya forat par

 

Beparda mujh ko dekh kay rota tha tera sar

Kaise karun main zikr rida ka forat par

 

Us din samjh gayi thi ki chadar chinegi ab

Jab yeh suna tha so gaya saqqa forat par

 

Sunti hun teri lash bhi pamaal ho gayi

Tukdo’n main but gaya tera lasha forat par

 

Parde ka ahtemam to kar de Ali (as) ka sher

Nauha padhegi Saniye Zahra (sa) forat par

 

Turbat peh teri ashko’n ki shamme jalaungi

Hoga na ab kabhi bhi andhera forat par

 

Betab mujh ko karbobala ja kay yeh laga

Rota ho jaisa sara zamana forat par

 

Poet: Janab Betab Halluri

 

…………Zeya Abbas (Haideri)…………

YouTube Search On Zeya Jalalpuri

                    India   

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida