Chehlum Salam || Zainab (sa) tadap kay karti hai nauha forat par
(Salam)
Zainab (sa) tadap kay karti hai nauha forat par
Aayi hai tujh ko rone yeh bahna forat par
Zinda’n main rote rote Sakina (sa) guzar gayi
Aye bhai us ka lijiye pursa forat par
Hai karbala main aaj chehlum Hussain (as) ka
Matam hai har shaheed ka barpa forat par
Sun kar janabe Saniya Zahra (sa) ka marsiya
Tadpa Ali (as) kay sher ka lasha forat par
Aao dua yeh ghazi se Kami Zeya kare’n
Aaye’n yeh ban kay aap kay saqqa forat par
Poet: Kamran Kami (Pakistan)
…………Zeya Abbas (Haideri)…………
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment