Salam Hazrat Qasim (as) || Qasim (as) Ka Lasha Ran Se Shabbeer (as) La Rahe Hain

                          (Salam)

Qasim (as) ka lasha ran se Shabbeer (as) la rahe hain

Lasha uthaye Sarwar (as) aansu baha rahe hain


Hai bekasi ka aalam aao madad ko Akbar (as)

Kaise uthaye'n lasha Qasim (as) ka ibne Haider

Abbas (as) ho kahan par maula bula rahe hain


Sabr o raza ka khaliq aisa kahin peh dekha

Apne jawa’n pisar kay seene se khainche naiza

Yeh dekh kay sitamgar sub muskura rahe hain

 

Zahra (sa) ka lal tum se 2 boond pani mange

De do zara sa pani Asghar (as) bahut hain pyase

Shah ko dikha kay zalim pani baha rahe hain

 

Aalam hai bebasi ka tum aise waqt aaye

Zahra (sa) ka lal roti aankho’n se muskuraye

Maula gale se hur  ko apne laga rahe hain

 

Bole Hussain (as) Zainab (sa) yeh ghar tere hawale

Himmat na harna tum kaisa bhi waqt aaye

Yeh kah kay shahe wala maqtal ko ja rahe hain

 

Kami yeh aarzu hai likhta rahun main nauhe

Dil chaheta Zeya main padhta rahun yeh nauhe

Maula ko haal dil yeh dono suna rahe hain

 

Poet: Kamran Kami (Pakistan)

 

…………Zeya Abbas (Haideri)…………

YouTube Search On Zeya Jalalpuri

                           India

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida