Salam Maula Hasan (as) || Matam hai madine main shabbar (as) ki shahadat ka
(Salam)
Matam
hai madine main shabbar (as) ki shahadat ka
Shabbeer
(as) peh aaya hai kya waqt yeh ghurbat ka
Kahti
thi yahi Zainab (sa) Shabbar (as) kay janaze par
Gham
kaise sahe Zainab (sa) bhaiyya teri furqat ka
Tukde
dil e Shabbar (as) kay dekhega zamana phir
Aashur
kay daman main manzar hai qayamat ka
Taboot
peh Shabbar (as) kay jab teer e sitam aaye
Abbas
(as) peh tha kaisa yeh waqt museebat ka
Kamsin
hai yeh shahzada baitha hua sakte main
Qasim
(as) ko bhi pursa do Shabbar (as) ki shahadat ka
Shabbar
(as) ki shahadat hai Shabbeer (as) kay parwano
Shabbeer
(as) ko pursa do Shabbar (as) ki shahadat ka
Pakne
lagi shaq ho kar us waqt zamee’n paiham
Kya
ho ga asar soncho us zaher ki shiddat ka
Woh
zaher e sitam pahuncha Shabbar (as) kay kaleje tak
Sar
peeto azadaro manzar hai qayamat ka
Shabbeer
(as) ka sadqa ho ab hum ko ata Shabbar (as)
Hum
wasta dete hain Qasim ki museebat ka
Hai
khidmat e Shabbar (as) main marooza Rasheed itna
Hum
sub ko sharaf de de rauze ki zeyarat ka
Poet:
Janab Rasheed Sahab
………...Zeya
Abbas (Haideri)…………
YouTube
Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment