Salam Bibi Zainab || Ghabrayegi Zainab (sa), Ghabrayegi Zainab (sa)
(Salam)
Ghabrayegi Zainab (sa),
Ghabrayegi Zainab (sa)
Jab ho kay riha qaid se
ghar jayegi Zainab (sa)
Ghabrayegi Zainab (sa), Ghabrayegi Zainab (sa)
Aagosh kay palo’n ko
kahan payegi Zainab (sa)
Ghabrayegi Zainab (sa)
Bin bhai kay veeran nazar aayega madina,
ho ga yeh qareena
Puchegi jo Sughra (sa)
to tadap jayegi Zainab (sa)
Ghabrayegi Zainab (sa)
Puchengay jo sub ahle
madina ki hua kya,
Yeh neel
hai kaisa
Bazu kay nisha’n le kay
jo ghar jayegi Zainab (sa)
Ghabrayegi Zainab (sa)
Cha jayegi rauze peh
Mohammad kay udasi,
Roye gi nawasi
Ashko’n main lahu qalb
ka barsayegi Zainab (sa)
Ghabrayegi
Zainab (sa)
Bechainiya’n badh jayegi
ho jayegi muztar,
Yaad aayenagy
Sarwar
Pani kahin thoda sa
agar payegi Zainab (sa)
Ghabrayegi
Zainab (sa)
Kya dil peh guzar jayegi
khud apne maka’n main,
Aur
aah o Fugha’n main
Sunsaan jo beto’n ki
jagah payegi Zainab (sa)
Ghabrayegi
Zainab (sa)
Veeran nazar aayega jo Akbar
(as) tera hujra,
Shaq hoga kaleja
Hum shakle payamber ko
kahan payegi Zainab (sa)
Ghabrayegi Zainab (sa)
Yaad aayega woh phool
sa besheer ka chehra,
Gham khayegi
Sughra (sa)
Ujdi hui goadi ko jo
dikhlayegi Zainab (sa)
Ghabrayegi Zainab
(sa)
Nanhe se musafir ko bhi
choda na qaza na,
Aur ahle jafa ne
Dil dhoondhega Asghar
(as) ko kahan payegi Zainab (sa)
Ghabrayegi Zainab (sa)
Pani to tadapta raha
Ahmed ka nawasa,
Tha zibh
main pyasa
Yeh daagh liye dil main watan jayegi Zainab (sa)
Ghabrayegi
Zainab (sa)
Comments
Post a Comment