Nauha BiBi Sakina (sa) || Sham kay zinda'n main tanha haye jab ho jayegi
Nauha
Sham kay zinda’n main tanha haye jab ho jayegi
Sham kay zinda’n main tanha haye jab ho jayegi
Yaad
baba ki Sakina (sa) ko bahut tadpayegi
Aik
jhula jal gaya hai dusra mil jayega
Par
sulane kay liye Asghar (as) kahan se layegi
Aye
musalmo’n batao kay andheri qaid main
4
salo’n ki yeh bachchi kitne din jee payegi
Baap
kay seene peh sone ki badi aadi hai yeh
Khak
kay bistar peh isko need kaise aayegi
Chod
kar tanha bahen ko chal diye Abid (as) kahan
Raat
bhar zindan ki deewaron se takrayegi
............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment