Salam Hazrat Ali Asghar (as) Shabbeer (as) ne Asghar (as) ko jab dafn kiya hoga

                             (Salam)
     
Shabbeer (as) ne  Asghar (as) ko jab dafn kiya hoga 
Gham se shahe wala ka kiya haal huwa hoga 

Halmin ki sada thi woh sun kar jise khaime main
Bano ka Ali Asghar (as) jhule se gira hoga

Rota tha sare maqtal kuffar ka lashkar bhi
Halqoom peh Asghar (as) kay jab teer laga hoga 

Besheer ki mayyat ko lipta kay kaleje se 
Matam Ali Asghar (as) ka mather ne kiya hoga 

6 maah ka Asghar (as) yeh Akbar (as) se bada nikla
Shabbir (as) ne yeh ro kay bano se kaha hoga

Mayyat Ali Asghar (as) ki kis tarah se dafnaye 
Tanha shahe wala peh woh waqt kada hoga 

Us waqt azadaro maa'n royi bahut hogi 
Jab sar Ali Asghar (as) ka naize peh chadha hoga 

Aulad ka gham kya hai main janti hun beta 
Yeh bain sare maqtal Zahra (sa) ne kiya hoga 

KAMI O ZEYA jayen Shabbir (as) kay rauze par 
Gar izn hamen bibi Zahra (sa) se ata hoga

Poet: Kamran (Kami) From Pakistan


............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
                       India

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida