Salam Imam Sajjad (as) 25 Muharram Shahadat Imam Zainul Abdin (as)
(Salam)
Tauq o zanjeero main jakde huway aaye Sajjad (as)
Khoon aankho'n se sare sham bahaye Sajjad (as)
Baad Shabbeer (as) ju'n he sham e ghareeba'n aai
Koi yawar na raha kya kare Zahra (sa) jayee
Jalte Khaimo'n se tujhe kaun bachaye Sajjad (as)
Dil peh Sajjad (as) kay kya kya na sitam dhaye gaye
Qaid kar kay sare bazar haram laye gaye
Waqt aisa na kisi par kabhi aaye Sajjad (as)
Haye majbooriye Sajjad (as) khuda khair kare
Tauq o zanjeero main beemar mera jakde huway
Lasha kis tarah Sakina (as) ka uthaye Sajjad (as)
Shukr har gaam kiya rub ka mere maula ne
Zulm har aik saha ik ne shahe wala ne
Shikwaye ranj kabhi lub peh na laye Sajjad (as)
Waqt Sajjad (as) peh woh kitna kada guzra hai
Jisko tareekh ne gairat ka khuda likhkha hai
Khoon rota raha maula mera haye Sajjad (as)
Farsh majlis ka bicha kay yeh dua karta hun
Main ghame shah main masroof e buka rahta hun
Pursa lene ko kabhi ghar mere aaye Sajjad (as)
Ab nahi taab ZEYA kaise bhala nauha padhun
KAMI kis tarah bhala dard ka quran likhun
Mujh ko gham aap ka har rose rulaye Sajjad (as)
Poet: Kamran (Kami) From Pakistan
............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment