Din dhale jab kar kay mazdoori Raza aata hai baap


Din dhale jab karke mazdoori RAZA aata hai Baap
Dekhker haste hue bacchon ko sukh pata hai Baap

Aik bachche ki talab main chod kar aaramo chain
Jane kis kis dar peh mannat mangne jata hai Baap

Samne ankhon kay jis bete ke mar jata hai Baap
Lamha lamha zindagi bhar usko yaad aata hai Baap

Jane kitne khowab karte hain safar bachhe kay sath
Ghar se pehli baar jab school le jaata hai Baap

Umr bhar rahti hai us bete ke dil mein ek khalish
Jab taraqqi dekhne se pehle mer jaata hai Baap

Jab numaya Qamyabi choome bete kay qadam
Nazr dilwati hai maa sajde mein gir jata hai Baap

Zindagi bhar chalta rehta hai masheeno ki tarah
Maut ki godi mein ek din thak kay so jata hai Baap

Rote rote bus yahi kehta hai wo haye Husain (as)
Jab kabhi apne jawan bete ko dafnata hai Baap

Koi un bachhon se pooche kya hai shadi ka maza
Biyah ki taarikh rakhker jinki mar jaata hai Baap

Roz-e-aashura bana deti hai maa saqqa humein
aik chota sa uthane ko alam lata hai Baap

Roke Zainab (sa) ne kaha baba bhara ghar lut gaya
Jab shabe sham-e-ghareeba mein nazar aata hai Baap

Kya kahunga haal-e-Asghar (as) pooch bathe jo Rabab
Aage jaata hai kabhi peeche palat aata hai Baap

Mangne aati hai jab darbar mein Bagh-e-Fidak
Ghamzada beti ko jaane kitna yaad aata hai Baap

Hone hi wali hai is shaam-e-ghareeba ki sahar
Baazuon ko choomker beti ko samjhata hai Baap

Qaid khane main hua kohram bachhi mar gayi
Khowab main ik shab Sakeena (sa) ko nazar aata hai Baap

Qadr-o-Qeemat tab pata chalti hai Maa aor Baap ki 
Jab khuda kay fazl se insane ban jata hai Baap

Aik bachche ki talab me chhorkar aaraam-o-chain
Jaane kis-kis dar pe Mannat maangne jaata hai Baap 

Aisa lagta hai kay jaise chal rahi ho kaainaat
Ghutniyo'n chalte hue bachche ko jab paata hai Baap

Bastii-bastii,, gaao'n-gaao'n,, uffff talaash-e-rizq main
Dar-ba-dar shaam-o-sehar phirta nazar aata hai Baap

Har khushii ko yun jakad leti hai zanjeer-e-moaash 
Muskuraane ko jawaani main taras jaata hai Baap 

Goud k paalo'n ka mustaqbil banaane k liye
Waqt ki mandi main saste daam bik jaata hai Baap 

Hath khaali,, jeb khaali,, bhooke bachcho'n ki taraf
Kham kiye gardan pareshaa'n haal ghar aata hai Baap

Ghaltiyaa'n karta hai jab bachcha to usko maar kar 
Dil hi dil me jaane kitni der pachhtata hai Baap 

Zindagii saari khapaa deta hai bachcho'n k liye
Apne Maa aur Baap ki khidmat na kar paata hai Baap

Kya sahi hai kya ghalat,, bachcho'n ki khushiyo'n k liye
Jo na karna chahiye tha wo bhi kar jaata hai Baap

Sehat-o-taaleem-o-shaadi kaise ho aulad ki 
Fikr kay shamshaan main chup-chaap jal jaata hai Baap

Waqt se pehle bichhad jaaye shareek-e-zindagii
Jo faraaezz Maa kay hain wo bhi bajaa laata hai Baap 

Har tamanna har khushii kul hasrate'n har aarzoo
Apne bachcho'n ki khushi kay naam kar jaata hai Baap

Dekhta hai khwaab jinki zindagii k waaste
Unke hi hatho'n na jaane kitne dukh paata hai Baap 

Poorii karne khwaahishe'n apne jigar k chain ki
Apni saari zindagii qurbaan kar jaata hai Baap

Zindagii k wazn dhote-dhote apni pusht par
Khush rahen bachche isi dhun me chala jaata hai Baap

Lamha-lamha waqf kar k goud k paalo'n k naam 
Hath khaali daar-e-faanii se chala jaata hai Baap

Umr bhar ki saari mehnat ka sila aulaad se
Faateha bass Faateha bass Faateha paata hai Baap

Ye azadari ka sadqa hai jo barzakh mein RAZA
Majlison mein rote hain hum aur jaza paata hi Baap

..............Zeya Jalalpuri.............. 


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida