4 Muharram Salam || Habeeb Ibn e Mazahir || Aajao Karbala ||

(Salam & Nauha)
Shah ne habeeb ibn e mazahir ko khat likha, aajao karbala x2
Zahra (sa) ka lal nargaye aada main hai ghira , aajao karbala x2

Khat likh chuke Hussain (as) to kahne lagi bahen
Itna meri taraf se bhi likh do shah e zaman
Aana bahut he jald yeh Zainab (sa) ne hai kaha, aajao karbala x2

Qasid khat e Hussain (as) liye pahuncha jis ghadi
Ja kay dar e habeeb peh awaaz usne di
Maula Hussain (as) ne hai yeh khat aap ko diya, aajao karbala x2

Khat ko liya habeeb ne aur choomne lage
Padhte he khat Hussain (as) ki ghurbat peh ro diye
Kuch is tarah se khat main shah e deen ne tha likha, aajao karbala x2

Jis simt bhi nigah uthata hun aye habeeb
Bus zalimon ki fauj he pata hun aye habeeb
Aye bachpane kay dost ho jaun main fida, aajao karbala x2

Jis dam habeeb karbobala main pahunch gaye
Yeh kah kay peshwai ko Abbas (as) hain badhe
Aao ki mere aaqa ne tha aap ko likha, aajao karbala x2

Jis dam habeeb ghode se aaye zameen par
Pahunche Hussain (as) rote huway un ki lash par
Mud kar najaf ki samt yeh baba ko di sada, aajao karbala x2

Mere habeeb mar gaya aankhon kay samne
Ghurbat main lash kis tarah mehman  ki uthe
Lao kafan najaf se mere baba Murtza (as), aajao karbala x2

Jis ko ZAFAR  habeeb kay lashe ka hai khayal
Mayyat ho us ghareeb ki ghodon se paemaal
Ahle aza ajab nahi Zahra (sa) ki hai sada, aajao karbala x2

............Zeya Abbas (Haideri).............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri

Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida