7 Muharram Salam Hazrat Qasim (as) || Ja Baja Bikhra Pada Hai Run Main Qasim (as) Aye Hussain (as)
Goonji dasht e nainawa main Fatima (sa) ki yeh sada
Ja baja bikhra pada hai run main Qasim (as)
aye Hussain (as)
aik ik aaza kai hisson main uska bat gaya
ja baja bikhra pada hai run main Qasim (as) aye Hussain (as)
Pahle ik chadar bicha de karbala ki rait par
Baad main rakh jism kay tukdon ko usmain dhoodh kar
Phir bhi Qasim (as) ka badan pura nahi mil payega
Ja baja……………………………………………….......................
Jitney tukde aap ko mil jayen mere ladle
Aik chadar main unhen aye mere beta bandh le
Suway khaima le kay chal nade Ali (as) padhta hua
Ja baja……………………………………………….......................
Itne ghode jism par Qasim (as) kay daudaye gaye
Tukde tukde ho kay aaza dasht main udne lage
Ya Ali (as) kahta hua tera bhateeja mar gaya
Ja baja…………………………………………...................
Padti thi jab 1300 ghodon ki tapen jism par
Is tarah run main tadapta tha mera noor e nazar
Dekhti thi sara manzar aap ki maa Fatima (sa)
Ja baja…………………………………………..................
Aik ik tukda yaqeenan dasht main tu dhoondhe ga
Jism e Qasim (as) is liye pura nahi mil payega
Ghodon ki tapon main kuch hissa badan ka rah gaya
Ja baja………………………………………….................................
Main batati hun kaleja tham kay sun mere lal
Ho raha tha jab bhateeja zindagi main payemaal
Haddiyon kay tootne ki sun rahi thi main sada
Ja baja……………………………………………..................
pasliyon par jab padi ghodon ki tapen noor e aein
phair kay munh ro rahe thay Ambiya bhi aye Hussain (as)
itni bedardi se usko dasht main raunda gaya
ja baja..............................................................
Haddiyan jab tootti thi Qasim e (as) naushah ki
Aye mere beta main apna hath malti rah gai
Karwaten le le kay kahta tha chale aao chacha
Ja baja………………………….......................………………
Puchegi jab umme farwa hai kahan Qasim (as) mera
Rakh kay chadar samne kahna mere mahe laqa
Mil gaye jitne bhi tukde hai wahi Qasim (as) tera
Ja baja………………………………………….........................
Run main ZAHID rooh e Zahra (sa) kah rahi thi mera lal
Maa hai tere sath mere lal apna dil sambhal
Kaise jee payegi kubra jab sunegi waqeya
Ja baja…………………………………………...............
Poet: Zahid MustafaBaad Nagpur Jalalpur
Poet: Zahid MustafaBaad Nagpur Jalalpur
............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment