8 Muharram Salam Maula Abbas (as) || Bachche Mayoos Bahut Ho Gaye Abbas (as) Kay Baad
Bachche mayoos bahut ho gaye Abbas (as) kay baad
Pyas se aur tadapne lage Abbas (as) kay baad
Nahr ki samt hain bus dekhte Abbas (as) kay baad
Bachche mayoos bahut ho gaye Abbas (as) kay baad
Haye afsos sabhi bachche hain itna pyase
Phool ki tarah se murjhaye hain unke chehre
Hain jigar unke sulagne lage Abbas (as) kay baad
Bachche………………………………………….
Is qadar pyar se hai sook gai unki zaban
Ab to baat bhi kar sakte nahi tashna dahan
Aah bharte hain faqat rah rah kay Abbas (as) kay baad
Bachche……………………………………………
Shiddat e pyas se hai un ki nigahon main dhuwan
Dil peh jo unke guzarti hai Karen kis se bayan
Khali kooze woh dikhaye kise Abba (as) kay baad
Bachche…………………………………………
Yaas se dekhte hain jab woh Sakina (sa) ki taraf
Dekhne lagti hai masoom woh darya ki taraf
Kis se pani ki guzarish kare Abbas (as) kay baad
Bachche………………………………………….
Sub ki aulad ko Allah salamat rakhe
Hon na pardes main barbad kisi kay bachche
Jis tarah karbobala main huway Abbas (as) kay baad
............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri
Comments
Post a Comment