Abbas (as) Tere Dar Sa Duniya Main Dar kahan

Jhukte hain jahaa shah bhi tera wo aasta'n.....
Abbas (as) tere dar sa duniya me dar kahaa'n
Maula.....Abbas (as) tere darsa...
Tu Qamre bani hashim Zahra (sa) ki tu dua hai..
Saya tere alam ka do jag pe bakhuda hai...
Tere alam ko chumne jhukta hai aasmaa'n...

Abbas (as)....Maula....Abbas(as)...Maula

Shere Khuda hain baba aur sher e karbala tu 

Tere dar peh jo bhi aaye mushkil kare kusha tu
Tere diye jalata hai is liye jahan.......
Abbas (as)....Maula....Abbas(as)...Maula

Tu Shahenshah wafa ka do jag peh teri shahi....... 

Panjatan hain tujh peh naza'n aisi wafa nibhai........
Shahid tere Alam peh Panjatan ka yeh nishan.....
Abbas (as)....Maula....Abbas(as)...Maula

Jo bhi khuda se maanga tere alam se paaya...
Tere alam ka saya hai kibriya ka saya...
Kyu na tere alam pe aakar kahe jahaa'n
Abbas (as)....Maula....Abbas(as)...Maula

Tere dar ke hai bhikari sab Auliya Qalandar...
Sajde karen farishte chaukhat pe teri aakar...
Dene lage zamee'n par Qudsi bhi ye azaa'n
Abbas (as)....Maula....Abbas(as)...Maula

Mushkil kusha Ali (as) hai mushkil kusha hai tu bhi...
Wo dast e Kibriya hai Rabbe wafa hai tu bhi...
Padhte hain Aliwaley yeh manqabat yahan
Abbas (as)....Maula....Abbas(as)...Maula

Rauze pe tere aake ehsaas ye hua hai...
Ye ghar hai Panjetan ka is ghar main hi khuda hai...
Sajde me girgaya main dekar yahi bayaa'n
Abbas (as)....Maula....Abbas(as)...Maula

Dar dar bhatakne walo ek baat meri maano...
bedast is sakhi ke dar par jabee'n jhukalo...
Be-saakhta kahoge khologe jab zabaa'n
Abbas (as)....Maula....Abbas(as)...Maula

Farhan tere dar ka naukar hai mere Ghazi (as)

ik qarz marefat ka mujh peh hai mere Ghazi (as)
padh lun namaz e midhat de kar yahi aza'n
Abbas (as)....Maula....Abbas(as)...Maula

......Zeya Abbas (Haideri).......

Youtube Search On Zeya Jalalpuri


Comments

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida