Jab ghir gaye kufe main Muslim (as) kay dulare

Noha
Jab ghir gaye kufe main Muslim (as) kay dulare Pardes main tanha thay taqdeer kay mare Dono bachcho ka wahan koi madad gar na tha Sirf tanhai thi yawar na thay ghamkhar na tha Woh bhatakte rahe dar dar koi dildar na tha Koi dono ki madad karne ko tayyar na tha Thak kar kay jo girta tha kabhi chota brother Chalta tha bada bhai use goad main le kar Jab………………………………………................... Chote bhai ne bade bhai se ro kar pucha Bhaiyya itna to bata do ki kahan hain baba Hum musafir hain yahan koi nahi hai apna Hum ko pardes main ab kaun sahara dega Har simt andhera hai kahan jayengay bhai Lagta hai hamen baba na mil payengay Jab……………………………………....................... Raat kali thi andhere main woh dono bachche Sahme samhe huway ik paid peh chup kar baithe Raat bhar lipte thay aapas main woh gham kay mare Sisikiyan lete thay aur rote thay chupke chupke Aahat jo koi hoti to ghabrate thay dono Patte bhi khadakte thay to dar jate thay dono Jab…………………………..........................…..….. Ik kaneez aai subah usko tha pani bharna Usne masoomon ka pani main jo dekha chehra Dono bachachon se yeh ghabra kay usi dam pucha Kaun ho aaye kahan se ho bata do itna Dono ne kaha zakhm bahut khaye hain bibi Hum log madine se yahan aaye hain bibi Jab………………………………………….................... Naam yasrab ka suna jab to woh tadpi ik baar Le kay bachcho ko chali ghar ki taraf woh deedar Ja key marqan se babtane lagi sub haal e zar Momena ne kiya shahzadon ko ro ro kar pyar Kahne lagi darna na meri jaan ho dono Aaqa kay dularo mere mehman ho dono Jab…………………………………………................... Mutmain ho gaye jis waqt ki woh maah e laqa Le gai bachchon ko hujr e main kaneez e Zahra (sa) Khana pani jo mila bachchon ka dil bhar aaya Samne nazron kay maa baap kay chehra aaya Baba kay liye mahwe buka ho gaye dono Bin khaye piye rote huway so gaye dono Jab……………………………………………................ Haye Muslim (as) kay pisar chand sitare dono Khab se chaunk kay uththe jo dulare dono Aahen bharne lage hujre main woh pyare dono Roye be sakhta taqdeer kay mare dono Rone ki sada sun kay utha haris e maloon Khanjar liye hujre main gaya haris e maloon Jab…………………………………………................ Dekha haris ko to masoom bahut ghabraye Zulfen zalim ne jo pakdi to jigar tharraye Le chala khainchata masoomon ko zalim haye Momena ne kaha haris tujhe maut aajaye Masoom hain pardesi hain in par na sita kar Haider (as) kay gul e tar hain yeh Zahra (sa) kay gule tar Jab…………………………………………………….................. Kitna maloon tha haris ko taras na aaya Momena ki na suni aik use qatl kiya Baal bachchon kay pakad kar woh sitamgar nikla Bachche kahte thay hamne maar kay kya payega Dirham tujhe dilwayengay jitna tu bata de Le chal kay madina hamen amma se milade Jab…………………………………………................... Le kay maloon yateemon ko nahr par pachuncha Taigh masoomo ko dekhla kay woh zalim bola Tum he batlao gala kanton main pahle kiska Chote bhai ne gala apna badha kar yeh kaha Main deta hun sar taigh idhar mar de haris Bus mere bade bhai ko ab chod de haris Jab…………………………….....................….. Phir bade bhai ne chote ko hataya badh kar Rakh diya apna gala taigh kay neeche ja kar Bola haris se ki ahsaan yeh karna mujh par Mere bhai ko dekha kar na chalana khanjar maloon tha be deen tha woh duhsman e Haider Sar kanta bade bhai ka chote ko dekha kar Jab…………………………………………..... Chote bhai ne lahu bhai ka dekha jis dam Loat kar khoon main bhai kay woh tadpa pur gham Dekh kar suway nahr kahta tha kar kay matam Bhai tharo ki zara dair main aate hain hum Yeh dekh kay maloon ne talwar chalai Aur ho gai bekas kay saro tan main judai Jab.......................………………………..…… Sar ko jab kaat chuka tan ko nahr main dala Chote bhai ki traf bhai ka lasha aaya Haye shahzadon ka aapas main jo lipta lasha Dono mazloomon ki mazloomi peh roya dariya WAYEZ jo sitam dono yateemon peh hua hai Us zulm ko likh kar kay qalam kanp raha hai Jab……………….....................………………………

............Zeya Abbas (Haideri)............
YouTube Search On Zeya Jalalpuri

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Nana teri Zainab (sa) lut kay aa gai hai (Salam BiBi Zainab (sa)

Salam Bibi Fatima Zahra (sa) Batool Roti Hain

Nauha Alwida Alwida Aye Ghareeb Alwida