Kahti thi yeh ro ro kay Sakina (sa) mere ammu || Nauha BiBi Sakina (sa) ||
(Nauha)
Kahti thi yeh ro ro kay Sakina (sa) mere ammu
Mar jayegi yeh bekaso dukhiya mere ammu
Dam ghutta hai gardan ki rasan khol do aakar
Zalim ne gala bandha hai rassi se jakad kar
Dushwar hai ab sans ka lena mere ammu
Kahti……………………………………….....................
Aye mere chacha jaan main pyasi he rahungi
Mar jaungi ab pyas ka shikwa na karungi
Aajao bulati hai Sakina (sa) mere ammu
Kahti……………………………………......................
Baba ne jo pahnaye thay kano main hamare
Zalim ne lawen cheer kay bund e hain utare
Kano se mere khoon hai bahta mere ammu
Kahti………………………………………..........................
Aada ne mujhe pusht e shutur par hai litaya
Rassi se mujhe unt par is tarah hai bandha
Jab chalta hai chil jata hai seena mere ammu
Kahti………………………………………............................
Pardes main mar jaungi main Zainab o (sa) muztar
Baba hain na Qasim (as) hain na bhaiyya Ali Akbar (as)
Ab kaun uthaye ga janaza mere ammu
Kahti…………………………………………………........
Nargh e main masayeb kay ghiri tashna dahen hai
Daman hai jala kurte ka hathon main rasan hai
Kya tha yahi taqdeer main likha mere ammu
Kahti…………………………………………........................
............Zeya Abbas (Haideri)............
Youtube Search On Zeya Jalalpuri
India
Comments
Post a Comment